Monday, February 20, 2012

Band Baaja Baraat!





Its official... My folks at home are getting desperate to get me married at the earliest. Many of them suspect that I have a secret girlfriend hidden away somewhere and that my disinterest in getting married stems from that. I have been working overtime trying to convince them logically, emotionally and financially that I am not interested in getting married right now and that they should hold their horses for sometime... But do they listen- NO!


The following reasons are given by them to "enable" me to make up my mind for a marriage as quickly as possible-


i. Hum buddhe ho rahein hain. Shaadi me bahut kaam hota hai. Hum uth hi nahin payenge toh kaam kaun karega? Hamare knees/hands/back/bones/body ke baare me soch. Hum ab jawaan nahin hai... Tereko kab akkal aayegi!


ii. Shopping kar ke bahut time ho gaya hai humein. Market me kya mast saarees aayi hain. Abhi hamare bacche bhi chhote hain. Kal woh bade ho jayenge toh unki padhai me kharch karenge yaa teri shaadi me!


iii. Abhi tu gaon mein bhi nahi hai, sheher aa gaya hai. Tere ko khaane, laundry ki kitni problem hai dekh. Shaadi kar lega toh sab tension khatm (which is when I interject and say that that I think you're confusing bai with wife!)


iv. Sone ka daam kitna badh gaya hai. Jaldi shaadi karega toh saste me ho jayegi. Jitna late shaadi karega utna sabke paise kharch honge!


v. Hum hi akele kyun bhugtein? Tu bhi suffer kar thoda... bahut ho gayi aish teri!


vi. Late shaadi karega toh saari auntiyaa milengi. Fir humein mat bolna!


vii. Is saal duniya khatm ho jayegi. Usse pehle shaadi toh kar le kam se kam!!


viii. Naye saal ki leaves baaki hain abhi. Chutti khatam ho jayegi toh Baad me mat bolna ki shaadi me nahi aaye. Haan bol abhi se...


ix. Bas...apne doston ki shaadi attend kar... woh kya moorkh hain jo shaadi kar rahein hain...


x. And the cheapest of them all... Hamari aankhein taras gayi hai bahu dekhne ki... kab hamari tamanna poori karega beta!


This is what has been going on for some time now.... All conversations end in the topic of marriage... And the only weapon at my disposal is the simple line "Kya jaldi hai yaar... kar lenge..."... Lets see woh line bhi kitne time tak kaam aati hai...